Tuesday, August 21, 2012

Haalaat e Dil


Dil Ki Halat Ko Koi Kya Jane
Ya tu hum jane ya khdua jane

Phir Bhi Some shades which interest me

DIL (in demand/ASK)
mujhe Dekhkar Jo Na Dekhe Kisi Ko
mere Vaaste Jo Mita De Khudi Ko
ussi Deewaane Ki Banoongi Main Laila
usse Pyaar Doongi Main Pehla Pehla

DIL (in supply/giving)
mere Jalavon Ki Khata Hai Jo Ye Deevaana Hua
main Hoon Mujarim Ye Agar Hosh Se Begaana Hua
mujhe Sooli Chadha Do Ya Sholon Pe Jala Do
koi Shiqava Nahi Hai Jo Ji Chaahe Saza Do
baksh Do Is Ko Main Taiyaar Hoon Mit Jaane Ko


DIL (in indifference)
Gham aur khushi mein fark na mehsoos ho jahaan
Main dil ko us makaam pe lata chala gaya


DIL (in denial)
vo husn ke jalave hon ya ishq ki aavaazen
aazaad parindon ki rukati nahi paravaazen

DIL (in approval)
(tere husn par hai merii nazar
mujhe subah shaam kii kyaa Khabar)-2
merii shaam hai terii justajuu
merii subaha teraa Khayaal hai
tujhe kyaa sunaaun main dilarubaa


DIL (in NA UMEEDE)
Jisay bhi dekhiye wo apne aap mein gumm hai
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta


DIL (in remembrance)
shehar ki be-charaagh galiyon mein,
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..


Finally

DIL (in void)

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

No comments:

Post a Comment